Second hand mobiles ka market bahut badh raha hai. Kaafi businessmen apne business ke liye naye mobile ki jagah second hand mobile lena pasand karte hai. Iska pramukh kaaran hai ki business ke liye aksar log mobile bulk mei kharidte hai jo naye mobile se kaafi saste padte hai. Isliye aaj ke samay mei second hand mobile business kaafi laabhdayak saabit ho sakta hai. Agar aap yah soch rahe hai ki second hand mobile business kaise kare, toh aaiye jaante hai!
Second Hand Mobile Business – Mahatvapurna Baate
Agar aap bhi second hand mobile business shuru karna chahte hai, toh yah jaruri hai ki aap inn baato ka dhyaan rakhe:
· Nivesh: Second hand mobile business start karne ke liye aapko kuch raashi nivesh karni padegi. Yah raashi aapki office kholne ke liye, stock kharidne ke liye evam karamchaari rakhne ke liye aavashyak hogi. Aap used mobile phone business Rs. 3 lakh se Rs. 4 lakh tak mei shuru kar sakte hai. Agar aap maal udhaar mei kharid sakte hai toh yah nivesh raashi aur kam ho jaayegi.
· Risk: Used mobile phone business mei risk bahut zyaada nahi hai. Lekin aapko iss baat ka aavashyak dhyaan rakna chaiye ki aap chori kiya hua mobile na kharidle. Hamesha mobile ka bill aur bechne waale ka ID proof maange. Yadi aap second hand mobile kisi jaankar aur naamchin jagah se lete hai toh yah risk bhi kam ho jaayega.
· Munafa: Second hand mobile business kaafi munaafedaar hai. Kayi second hand mobile businessmen yah maante hai ki unko naye mobile bechne se zyaada munafa second hand mobile bechne se milta hai.
· Competition: Aaj kal har jagah competition hai. Used mobile phone business mei bhi aapko competition ka saamna karna padega. Lekin agar aap variety rakhte hai aur acchi service dete hai toh aap competition se jeet sakte hai.
Used Mobile Business Shuru Karne se Pehle Kya Taiyaari Karni Chaiye?
Isse pehle ki aap used mobile phone business shuru kare, aapko inn chizo ki taiyaari kar leni chaiye:
· Second hand mobile business kaha pe shuru karege wah aapko sabse pehle tay karna padega.
· Konse dealer se second-hand mobile kharidege?
· Aapki marketing strategy kya hogi? Aap slogan use kar sakte hai jaise ki best-used mobiles in Mumbai ya used mobile for sale aadi aur isko message, pamphlet evam social media ke through market kar sakte hai.
Second Hand Mobile Kaise Kharide?
Aap do tarike se second hand mobile kharid sakte hai:
· Direct Grahak Se: Aapki dukaan pe kayi aise customer aayege jo apna second hand mobile bechna chaahege. Aap second hand mobile direct unse kharid sakte hai.
· Dealer Se: Agar aapko dealer se mobile lete hai, toh aap second hand mobile wholesale mei kharid sakte hai.
Dhanak ek aisa platform hai jo bulk mei second-hand mobile bechta hai. Yah ek bahut hi karyashil evam bharose mand platform hai. Dhanak jaise platform se mobile kharidne ka yah faayda hota hai ki aap ke saath cheating ke chances kam ho jaate hai aur aapko acchi quality ke genuine used mobile phones kifaayti daamo mei mil jaate hai.
Second Hand Phone Kise Bech Sakte Hai?
Agar aapko genuine used mobile phones bechne hai toh ya toh aap direct grahak ko bech sakte hai ya fir aap businessmen ko bulk mei bech sakte hai. Bulk mein second hand mobile bechne ka yah faayda hota hai ki aapka bahut saara maal ek saath bik jaata hai aur aap ek hi baar mei kaafi munafa kama lete hai. Jitni tezi se naye mobile market mei aa rahe hai, used mobile phone business bhi utni tezi se aage badh raha hai. Yah sahi samay hai apna khudka second hand mobile business shuru karneka.
For more information on Dhanak or Second-hand mobile phones for business call -8657865827 or visit Pay1 – YouTube